Advertisement

Responsive Advertisement

Qurbani ke masail | qurbani ke islamic rules with qurbani ki dua-UrduFunPoint

Qurbani ke masail ke islami jawabat 

Qurbani ke tamam masail ke jawab quran aur hadees ki roshni mein janein aur sath hi kurbani ki dua bhi parhein Eid ul azha related tamam questions ke answers is mein diye gaye hain


 Qurbani k lafzi mani “Qurbaan karna, ya kisi k liye khatam ho jana” hin,, jab k shariat min Qurbani sy morad

“Allah k Qurb or Raza k liye Makhsos Janwer ko Makhsos din min Allah ki rah min Zibah karna hin”

*ibn-e-Maja, Tirmizi Shreef* “um’mul mo’meneen Hazrat Ayesha (radi Allah ho anha) – nahar k din yani 10 zilhajj sy 12 zilhajj tak ibn-e-aadam ka koi amal Allah k nazdeek Khoon Bahany sy ziyada piyara nahi, wo janwer k jisy qubaan kya gaya roz-e-Qayamat seeng, baal or khoro smet ay ga, or qurbani ka khoon zameen par girny sy pehly hi Qabool ho jata he’’

*Tabarani min Rawayat he k* “Aap SAW ne formaya k jis shakhs ne Qurbani Khosh Aslobi , Taleb-e-Sawab or Allah ki Raza k liye ki to os k Qubani os shakhs or jahanam ki aag k rasty min Rakawat ban jay gi”.

Q:- Qurbani kis par wajib he?

Ans:- jo shakhs Musalman, Aaqil, Balig, Aazaad, Muqeem, Malik-e-Nasaab, ho os par qurbani wajib he chay mard ho ya orat.

Q:- Qurbani k din kon sy hin?

Ans:- 10 zilhajj sy 12 zilhajj tak, yani 3 din or 2 ratin.

Q:- Malike Nasaab kon he?

Ans:- har wo Musalman jo Aaqil, Balig, Azad, Muqeem shakhs k jis k pas Qurbaani k 3 din or 2 rato min 7½ toly sona (sary 7 toly sona) , ya 52½ toly chanidi (sary 52 toly chandi) ya in k barabar Zroryat Zindgi or Zroryat deni sy hat kar maal or dolat ho jay os par Qurbani wajib he.

Qurbani har os shakhs par wajib he k jo Malik-enasab ho jay , chaye wo sab family sath khain ya sab ka choolaha sath ho, sab par qurbani wajib ho gi bashart ye k wo sab malik-e-Nasab hon.

Or jamhoor ulama karaam ka isi par fatwa bhi he, k har sahibe nasaab Qurbani kary.

Jab Qurbani wajib ho gai to phir Qurbani hi karni he esa nahi k Qurbani k Ewaz pesa dy diya jay,

Qurbani k janwer min Aqeeqy ka hissa dala ja sakta he,

Q:- Qurbani k Janweron min Taqeem?

Ans:- Qurbani k Janwer 3 noe min taqseem kiye gay hin,

1—Bakra, Bakri,.. Dunbah, Dunbi, or Bher.

In ki omar 1 saal hona zarori he, (Dunbah, Dunbi agar 6 maah k hon lekn dekhny min 1 saal k lagin to in ki Qurbani jaiz he, jabk Bakra bakri k liye saal ka pora hona zarori he).

2—Gay,Bel, .. Bhens , Bhensa.

In ki omar 2 saal hona zarori he, or in min sy kisi ik janwer min 7 shakhs shirkat kar sakty hin, agar 7 sy zaid afraad ne shirkat ki to phir ik ki bhi qurbani nahi ho gi.

3—Onth, Onthni.

In ki omer 5 saal hona zarori he, or onth ya onthni min 7 shakhs shirkat kar sakty hin. Agar 7 sy zaid afraad ne shirkat ki to kisi ki bhi Qurbani nahi ho gi.

Q:- Gosht ki Taqseem?

Ans:- Har Qurbaani k total 3 hissy kiye jain gy,

1---- 1 Hissa Gareebon or miskenon min taqseem kya jay ga.

2---- 1 Hissa Ghar k liye rakha jay ga.

3---- 1 Hissa Dost Ahbab or Rishty daron min taqseem kya jay ga.

Q:- Agar Qurbani karny wala Gareeb or miskeen ho to?

Ans:- Agar Qurbani karny wala gareeb or miskeen he (yani os par qurbani to wajib ho gai lekn he wo gareeb or miskeen) to phir wo Qurbani ka sara gosht ghar k liye rakh sakta he, tak wo or os k bachy k jinhin sara saal gosht tak rasai nahi hasil hoti wo bhi koch dino tak gosht sy faida otha sakin.

Q:- agar qurbani ka janwer mer (death) jay ya chori ho jay to kya hukam he?

Ans:- esi sorat min Gareeb par Qurbani nahi lekn ameer dosra janwer khareed kar qurbani kary ga.

Q:- Qurbani k janwer min esy nuqs k jis sy qrbani nahi hoti?

Agar qurbani k janwer min darj zel Nuqs pay gay to Qurbani nahi ho gi.

1—Naak Kati ho.

2—Zubaan kati ho.

3—Dant is had tak toty hon k chara chaba na saky.

4—Ankho sy bilkal anda ya ik ankh sy bilkal kana ho,, Nazar agar 50% kamzoor he to theek lekn agar is sy zaid he to nahi.

5—Kaan pedaishi hi na hon.

6—Agar kaan kata ho to 1’’ sy zaid kata ho.

7—Khonsa, yani esa janwer jis min Male and female dono khaslat pai jay.

8—Galeez chezin khany wala janwer.

9—Seng ka tot jana jerh sy.

10—Than Katy hon ya khoshk hon. (Dodh na hona shart nahi balky than ko shokhy ka marz hona shart he).

Q:- Qurbani ka gosht kin logo min taqseem kya jay?

Ans:- Qurbani ka ghosht sirf musalmano min taqseem kya jay, na k ger muslims min.


Qurbani ki dua


إِنِّي وَجَّهْتُ وَجْهِيَ لِلَّذِي فَطَرَ السَّماَوَاتِ وَالأَرْضَ مِلَّةَ إِبْرَاهِيمَ حَنِيفَاً وَمَا أَنَا مِنَ الْمُشْرِكِينَ . إِنَّ صَلاتِي وَنُسُكِي وَمَحْيَايَ وَمَمَاتِي لِلَّهِ رَبِّ العَالَمِينَ لاَ شَرِيكَ لَهُ وَبِذَلِكَ أُمِرْتُ وَأَنَا أَوَّلُ المُسْلِمِينَ ، اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ

Translation

میں نے اپنا رخ اس ہستی کی طرف پھیر لیا ہے جس نے آسمانوں اور زمین کو دین ابراہیم کی حالت میں پیدا کیا ہے اور میں مشرکوں میں سے نہیں ہوں۔ بے شک میری نماز، میری عبادت اور میرا جینا مرنا سب اللہ کے لیے ہے جو تمام جہانوں کا رب ہے اور جس کا کوئی شریک نہیں۔ مجھے حکم دیا گیا ہے (جو گزر چکا ہے) میں مسلمانوں میں سے ہوں۔ اے اللہ یہ قربانی تیری وجہ سے ہے ہمیں اس کی توفیق عطا فرما اور تیرے ہی لیے ہے۔



Post a Comment

0 Comments

Navbar Color (color name in small letter)

"--dlr:white"

Icon color (Color name in small letter)

"--nlr:black"